Khwab
- Hashtag Kalakar
- Dec 10, 2025
- 1 min read
By Komal Agrawal
Khayal hamen yeh raas aa gaya
kya hamen bhi koi chehra raas aa gaya dhundhe chehre Khwab mein
par nakab hokar bhi unn aankhon ka nahin
byan Teri khudgarji
aajmana Teri pahchan nahin
tute un lamhon mein
Jahan Teri koi visat nahi
fir aaya waqt Aisa Jahan hai Tera sama
par nakab se gair nahin
khwabon se dur kya tum aaoge I
nn chand taron se aage kya naya jahan basaoge
khwabon mein dete ho dastak ,kya hakikat mein woh afsana rubaroo kar paoge ?
Hai nahi yakeen pariyon par kya tum yakin dilaoge?
Aaj chahte Hain tujhe par Anjan hai
Teri Aankhen khamoshi mein muskurahat hai pariyon ki hamen chaha to nahin par Andaaz begana jarur hai
Bharosa sahi hona yeh mera vajud hai
raas na aaye pariyan hamen par fateh dilon per karna chahat jarur hai.
By Komal Agrawal

Comments