Khalaa'
top of page

Khalaa'

By Zulqarnain


- 'Koi' toh aaya tha dene dil pe dastak

Mujhe khabar toh hui par mein tha kisi aur ke saath


- Mujhe toh pasand thi uski khamoshi

Lekin zindagi guzaar di maine shor ke saath


- Rona aata hai ab khud ka haal dekh mujhe

Yeh gham ab asar nahi karte , ubhar na pau aisa koi malaal de mujhe


- Tujhe shayad bohat gehre sitam de chuka hu mein

Inteqam ka iraada ho toh mere zameer ka sawaal de mujhe


- Yeh dil ki khalaa' bharne ko koi dawaa lagti hai kya

Tera kasoor toh mohobbat hai, uski bhi saza lagti hai kya





- Ab mohobbat karna bhi khata lagti hai kya

Isse jatane ko ab zaroori jafaa lagti hai kya


- Maine dekha hai khud ke andar ka shayar

Kehta hai, jinhe qareebi bulata hai unse baat karne ko bhi meri qala lagti hai kya


- Ek 'koi' hai meri zindagi mein shayad

Usse bhi mere chehre par muskaan dekh, mere dil mein koi khalaa' lagti hai kya.


By Zulqarnain




13 views1 comment

Recent Posts

See All

ऐ ज़िंदगी

By Abhimanyu Bakshi तुम अगर ऐ ज़िंदगी आसान हो पाती, हम तुम पर एक कविता लिख देते। ये मिलना ये बिछड़ना क्या है आख़िर, दिल रखना दिल लगना क्या है आख़िर, बताना था कि ग़म-गीन ही है किसी से भी हिज्र, हम दिल

Kuu'-E-Ehsaas

By Zulqarnain - Kinnara kash zamana, kisi se milta nahi ab Gulon mein phool aana, kisi ko dikhta nahi ab - Toot gaye hain patte saare, sukoon milta nahi ab Mein jitna bhi muskura lu, yeh chehra khilta

bottom of page