Kamiyaan
- Hashtag Kalakar
- Nov 29, 2025
- 1 min read
By Gunjan Narula
Main hoon sundar, apni tarah,
Na poori, na adhoori bas zinda sa ek ehsaas.
Par duniya ko chahiye tasveer, jisme har rang ho unke hisaab ka saaf.
Mere daag unhe khatak jaate hain,
Meri khamoshiyaan unhe rula jaati hain,
Main apna ban chuki hoon, Phir bhi duniya mujh mein kamiyaan dhoondh jaati hai.
Par shayad yehi meri khoobsurti hai, Ki main apni kami ke saath poori hoon.
By Gunjan Narula

Comments