Kahin padha aaj mene
By Iffat
Kahin padha aaj mene
jahan pattiya nahin jhadti wahan basant nahi aata....
Padh ke na jaane kyun ukhadti hui saans wapis aa gayi maano ek aas wapis aa gayi...
Aaya hai.... Har baar aaya hai .... Tooti hun toot ke bikhri hun ... Phir uthi hun ... Phir khili hun ... Phir mehki hun .... Phir khatki hun ... Kabhi kabhi todi bhi gayi hun .... Aksar khudayi tor par jhadi bhi khoob hun...
Per aaya hai .... Har thehrav ke sath , muqarrar waqt ke sath , har us zariye se ...halato ko badalte huye, aaya hai .... Per aaya hai ... pattiyon ke jhadne ke baad basant hai ....
Roku Iffat SABR karo ....kyunki ..
Jahan pattiyan nahin jhadti wahan Basant nahin aata... ✍️
By Iffat

Comments