Kabir Kutta Ram Ka
Updated: Dec 2, 2022
By Kalp Raichura
Banaras ke ghat pe sadhuon ki bheed thi, uss bheed ka hissa bann ne nahi gaya tha main wahan, balki apna astitva tyaagne gaya tha. Duniya ki bheed se pareshaan ho chuka hu main. Socha tha ganga kinaare jaake ganga ji mein beh jaunga, par ab ye bheed dekhke mujhe marne mein bhi sharam aa rahi hai.
Kaisi sharam, kaisa parda, tum jo aaye ho kuch soch ke hi aaye hoge, bairagi tum lagte nahi, qismat ke maare ho kya? Khooni ho? Nirvaan chahte ho? Guru humein bhi toh batao kya samadhaan chahte ho.
Ye boli kisi saadhu ki nahi thi. Ek baccha apne chhote kutte ke saath mere pass aake beth gaya tha. Meri maansik stithi kuch aisi thi unn dino, main kisi cheez se chaukta nahi tha. Wo baccha kab mere pass aake beth gaya, mujhe pata bhi na chala.
Kabir. Kabir naam hai mera, aur ye moti. Ab guru tumhe dekhke lagta hai, kuch bologe nahi tum, aise na dekho mujhe, mere moti ko laga na agar tum mujhe kuch diqqat doge, guru ye gadar macha dega tumhaari zindagi mein.
Mann mein haste hue mere muh se hawa ki tarah ek shabd nikla , "Gadar" , "Gadar toh macha pada hai mere dost, ussi ko theek karne aaya hu."
Toh jao, karo theek. Kyun moti? Yuh beth ke ganga ji ko dekhne se ganga ji tumhaare pass aake khud thodi na samarpit kar lengi tumhe.Thoda chalo, hilo, aise bumpilaat bann ke mat betho.
Mujhe kuch samjh nahi aa raha tha, gussa bhi aa raha tha, mann toh kar raha "bhakk" bolke uss bacche ko bhaga du, phir socha nahi, uski kya galti. Maine usko halki awaaz mein bola, "Kabir, aap jaiye, mujhe akela chhod do, mujhe koi pooja nahi karwaani, ye kuch paise hai, rakh lo"
Kabir ne mere haath se paise liye aur wahi bethe bethe raet ke andar gaad diye. Ye karke ke baad wo moti ko godi mein leke uske saath khelne laga.
Kuch 10 min tak jab usne kuch na kahan, tab maine usse puchh hi liya, "Ye kya kiya tumne? paise raet mein kyun gaad diye?"
माटी कहे कुम्हार से, तू क्या रोंदे मोहे।
एक दिन ऐसा आएगा, मैं रौंदूंगी तोहे।।
Ek din sabko mitti mein mil jaana hai, tumhe shayad aaj, mujhe shayad kal, bachega kaun? Ye mitti. Chhal, kapat, abhimaan, raag, dvesh, dukh, dard, pyaar, sab mitti ho jaega. Tum jo yahan aaj karne aaye ho na, main roz aata hu, aur main hi nahi baht log aate hai. Main unko dekhta hu.
Ab guru, main ye dekhna chahta hu ke khud ko khatam karne se diqqatein kaise khatam hoti hai. Jiss din mujhe kisi ki diqqat khatam hoti dikhi na, bass agle din mitti ho jaunga.
Aaj tumhe dekhne aaya hu, par tum bada waqt le rahe ho. Uski baatein mere dukh ko pata nahi kaise par thoda kum kar rahi thi. Maine usse pucha, "Tum kyun marna chahte ho?"
Kabir ne apni chhoti chhoti aakhon se meri aakhon mein dekha, uski aakhon se kuch aansun raet pe gire aur mitti ho gaye.
"Guru, main marne nahi aata, thoda jooth bola tumhe, maafi chahunga. Darasal ek mahine pehle mera kutta moti, ganga ji mein beh gaya tha. Ab ye mujhe yahan ghat pe hi milta hai, isse milne chala aata hu"
Jab usne ye baat boli, mein darke khada ho gaya, chhota sa moti mujhe apni gol gol aakhon se dekh raha tha, woh chalte hue mere pass aaya aur apne do paer mere paero pe rakh ke puchh hilaate hue, upar dekhne laga. Usko dekh ke aachanak se mera saara darr nikal gaya.
Main neeche betha aur moti ko apni baahon mein leke rone laga. Kuch der baad jab maine aakhein kholi, toh kabir wahan nahi tha, aur mere haathon mein bas raet thi.
"Kabira khada bazaar mein, maange sabki khair, na kahu se dosti, na kahu se baer"
By Kalp Raichura

Comments