Kaash Mai Ek Ladka Hoti
Updated: Aug 2, 2025
By Ayesha Siddiqua
Mera kehna un ladkiyo se hai,
jo kehti Kaash mai ek ladka hoti
Mai jhooti dil behlane wali kahani nahi sunaungi,
par Haqiqat zarur bataungi
Un ladko se kabhi puchna, ke zimmedariyan kya hoti hai
Bachpan toh jee liya, par jawani kahan khoti hai
Padh likh kar kuch banna, na padhe toh majduri karna
Tumhare zindagi ka dusra naam hai kamana,
warna khani padegi dar dar ki thokaren
or sunna padega tana
Jab thak haar ke ghar ko lauto, tum ro bhi nahi sakte na
Samne khadi rehti hai maa,
or papa puchte, itni der tak kahan tha?
Us waqt ek kandhe ki zarurat rehti hai,
aisa lagta ke kaash koi gale se lagata
or kehta tu bahut thaka hua lag raha hai
fikr mat kar jo hua so hua
Maa baap ke paison par palte palte, sabka kharch uthana padta hai
Waqt bhi kya khoob guzarti hai, ke woh mard ban jata hai,
kuch pata hi nahi chalta, ek ladka kab bada ho jata hai
Dusri taraf, Puri duniya milkar use,
mazboot banana chahti hai, mard ko dard nhi hota,
ye har mod par batati hai
Har dard ko ghotna kitna mushkil hota hai,
Ek mard hona bhi kahan asaan hota hai
Gham toh ek hissa hai zindagi ka,
intezaar mat karo iske khatm hone ka
Gham ko kuch bahane de kar,
zimmedariyon se thoda befikr ho kar
Mushkilo me khushiyan talash kar lete hai
Acche pal mil gaye toh theek,
nahi toh khud se hi saja kr, jee lete hai
Chalo aazad ho kr hass lete hai, chalo aazad ho kar hass lete hai…
By Ayesha Siddiqua

Comments