Kaash
Updated: Aug 2, 2025
By Mehmooda Khan
Kuch toh baat thi unme,
Hamara dil aisehi kisi par bhi nahi aata
Pehli jhalak me hi pagal haar baitha,
Hum bechare karte bhi toh kya
Aankhon me aankhen dalkar dekhte the woh,
Itni shiddat se ki jaise hum chand ko dekha karte hai
Par kabhi kuch kaha nahi unhone,
Shayad lafz yeh silsila bayaan na kar paye
Hum bhi kabhi kuch keh nahi paye,
Khuda gawah hai bahot baar toota hai yeh dil
Ab yeh khauf - e - gam hai ya qaraabat - e - takabbur,
Woh arsh wala behtar jaane
Badi nadaan cheez hai yeh dil,
Nasamajh kisi par bhi aa jata hai
Aur khaas kar un par jo use zawaj na de paye,
Na uska khyaal rakh sake, na sambhal paye
Par humne jaane diya unhe,
Isliye nahi ki chahat ki kami thi,
Par isliye ki kisika dil na todna tha,
Hum waise toh itne fikrmand nahi,
Par woh koi kaafie azeez tha
Shayad woh baate hamare saath hi chali jaye,
Jo unhe kehna tha hame,
Jo unse sunna tha hame,
Par lafzon me hamari maharat nahi,
Kaash woh aankhen padh lete toh accha hota…
By Mehmooda Khan

Comments