Jine Ki Wajah
By Shreya Kumari
Sirf ek chehre ki hansi dekhkar mat maano ki sab theek hai uski zindagi mein.
Chehre se mann tak jao, tab jaano ki kitne dukh hain uski zindagi mein.
Aur ye chehre ki jhooti hansi ki kahan itni aukaat,
Jo mann ke dukh ko dikha sake.
Tumhari soch to acchi hai sabke liye,
Lekin auron ki nazron ki kahan aisi aukaat,
Jo tumhari soch ko khud aur doosron ko samjha sake.
Log kahan kos-te hain kisi ko, ye sab to Narayan hain.
Dusht to who nazar hai jo kisi mein accha, to kisi mein bura dekhne mein qayam hai.
Aur accha waqt ne to gairon ko bhi apna kehlwa hi diya.
Zaalim to ye bura waqt nikla, jisne apnon ko hi bairy bana diya.
Ab sochne wali baat to ye hai ki,
Galti waqt ne ki, lekin badnaam humara ye shareer ho gaya.
Sab bas waqt ke hi maare hain, phir bhi badnaam humara ye zameer ho gaya.
Aur ab main aur kitni shikayate karu aur kise karu,
Khud ki karu ya doosron ki ya apni kismat ko hi kosu,
Ab kuch mujhe samajh nahi aati.
Zindagi hi naraaz hai mujhse, ya sirf apne,
Ab ye dekh nahi paati.
Khoya to bahut kuch hai, aur kho bhi bahut kuch sakti hoon,
Kuch paane ki koshish mein.
Ye silsila ab aur kab tak chalega khud ko banane ki koshish mein?
Aur nahi maanga maine kabhi kuch tujhse ae zindagi,
Lekin aaj kehti hoon,
Ki de do mujhe bas ek jeene ki wajah,
Is dukh bhari zindagi mein…
By Shreya Kumari

Comments