Jang Ki Awaz
By Nidhi Dwivedi
Bikhre tukde riwajo ki chunne se
Fursat kaha logo ko
Per din ka ek aadha pahar bach hi jata h
khwaab bunne ko
Uljhe dhaago se simti dahleez
Bandhi payal si bediyaan
Yu aakhein tarere log dekhein
Mai gaati jab bhi yaha
Os ki boondo ka bhi dharm ho gaya
Mai jo bhi deti vo kam ho gaya
Tarsi aise us aawaz ke liye
Aaj baba yhi the bharm ho gaya
Mai udne lagi to paro ko samet
badan dhak diya
Mai bhaagi jaha
mere naam ka kafan rakh diya
Ek saancha h
Per mai mitti nhi
Mutthi se fislu teri ret si
Phir udke jaise awari hawa
Raste se gujru mai rail si
Pedo ke patte sab jhad gaye
Aayi baarish
Sab mausam gaye
Bolke kab ki mai chup ho gayi
Aawaz ab bhi kaano tak pehonchi nhi
Aakhir hosh ab bas me kaha
Aakrosh h har us aawaz pe
Ahankaar ki talwar pe
Aasan nhi aagaz ye
Aur haar jau, to chamatkaar
Saari chaukhatein langhe,
Raktabhishek ho aaj mera
Mere chune se ped mar gaye ?
Devi ne mera kab tirskaar kiya?
Janni bhi to kabhi hogi yaha?
Devi ko bhi tumne apavitra kaha?
Pankti se door sehme hiran ki aakhein liye,
us bachi ki jaati bhook se jeet gayi
Khoon ki boonde kuch kali hongi uski
Tabhi aakhon se yu bach gayi
Sahi galat ke maayne filhaal pata h
Chup kar de vo sawal hoga
Jo sareaam naalo me bikhra pada
Vo sharrer ka tukda bhi
kabhi muskarata hoga
Aakhein band karke andhera banate hain
Hum kyu bhool jate h
Ki jo jaroori h
Vo saans nhi, zindagi h
Aur chunni maathe se sarak hi jayegi
Pallu katto se chid hi jayega
Safar ki shikan maathe pe hi nhi kapdo per
bhi nazar aayegi
Mai gehno se ladi pathar ki murat nhi
Raushani ko gher le
Aisa koi andhera nhi
Haath mere bhi kamjor nhi
Chudiyaan kab ki utaar di
Par ab bhi khankti hai jeet me
Aatishbaji har haar kil
Mai kamjor nhi Banaya tumne hai
Apne upar nirbhar kar ke
Aehsaan jataya tumne hai
Band kar ke sab raaste
Lachar banaya tumne hai.
Ab kaman haath me liye
Tere shabd bhi jhel jaungi
Aadat hai
Sabki nazaron me gir ke Bhi
Khud khush jaungi
Aadat hai
Ant tak bas ek baat yaad hai
Chup rehna ab sharm ki baat hai
Aur jo hath lagaya ab tumne hai
Kasam swabhiman ki
Ye jang ki awaaz hai!
Nidhi dwivedi
By Nidhi Dwivedi

Comments