Jal Raha Mera Desh Hai
By Chirag Ajmera
Maut k damaan me aaj
Chupi hui ek yaad hai
Naraaz hai, Khamosh hai
Koi khoya uska khaas hai...
Nishabd hai, Krodhit hai wo
Dabi hui awaaz hai
Us laash ko uthaya hai
Jo zindagi ka khaas hai...
Damaan jo chuta Aai ka
Ungli jo chuti Abbu ki
Ruh kaapti hai jaan kar
Khoyi kahi masoom hasi...
Mai hu nidaar jo thaan lu
Hai aur kya jo haar du
Ye waqt ki hi baat hai
Main waqt ka gulaam hu...
Tu chup hai kyu, Kyu chhupp raha
Kya ye tera vikaass hai?
Ayogya hai, Aksham hai tu
Is aag ka pramaan hai...
Is aag se utha hu mai
Chingaari ab is dil me hai
Is aag ki lapto me aaj
Jal raha mera desh hai...
Is aag ki lapto me aaj
Jal raha mera desh hai...
By Chirag Ajmera

Comments