ISTEFA (Letter)
- Hashtag Kalakar
- Sep 24, 2022
- 1 min read
By MD Fakruddin S
Lagta hai khushi ne ek istifa chodatha
Par pata nahi kaha rakdiya
Hum use kabhi na padpaye
Lagta hai alvida kehna chahti thi
Alvida toh keh diya magar humnse hi kyu
Neend ka bhi istifa mil Gaya ab toh
Najane kyu ye bhi ud gayi
Kabhi kabhi jhalak deti hai magar sirf
Mujhe jagane ke liye (nightmares)
Phir baat aati hai ehsaso pe
Kab tak wajan daloge hoton pe
Ab toh muskarana bhi bhul rahe hai
Udaasi se aisa konsa Sauda karliya jo humse door Jane ka naam Tak na leti
Kab tak sehen karwane ka irada hai aapka
Ab toh har lamha chubne sa laga hai
Pata nahi kabtak rahenge, ab toh bas dua hai ki aapki(GOD) khidmat me hum pahunchjaaye
Han jaante hai ye kehna gunah hai
Par kare bhi toh kya,kuch bhi kar nahi sakte
Kuch karne Gaye toh aur bigaad dete hai
Aakhri raasta toh aajkal sirf ek nazar aata hai jiski aor hum jaane ke liye majboor ban rahe hai
Ye lamhe na jataye jaasakte hai na hi bataye
Andar hi andar apni basti basarahe hai
Shayad aadat dalwarahe hai ki ab jeena seekho inke saath
By MD Fakruddin S

Comments