Insaaf-E-Aaj
Updated: Jul 12, 2025
By Shaikh Mohammed Yasin
Roohaniyat ke ghamgheen kamre ab sadkon
par bhatak rahe hain
Insaaniyat ko chaukhat par dhakelna to koi
insaan se hi seekhe
Inn deewanon ko kya hua, kyun ro kar apne
aansu jhatak rahe hain
Yahi, ke chal rahe hain rang ab zamaane ke,
kuch iss tarha pheeke
Uski banayi dunya me ab pandit, maulvi,
padhri, sab sarr patak rahe hain
Ab SHAAN jo kehta hai insaan, rhak kar
insaan ko paeron ke neeche
Inn be-kasooron ka kya kasoor, kyun inke sar
phaansi par latak rahe hain!
Tarazu par Ruthba jo hai saheb, kisi ko kashti
de to koi taer raha hai peeche
Iraadon ne machliyon ko bhi na choda, kuch
hi darya ab saaf bache honge
To kahin par masoom parindon ne apne hi
ghonslon me khoon bahaya hoga
Kahin kisi magarmach ki jaan aur chambdi ke:
juthon par ghilaaf saje honge
To kahin par ameeri ki topi ko phad-phadate
badaq ke libas se sajaya hoga
Kitne dardnak aansu sookhte sookhte insaan
ko phir bi mu’af kiye honge
Kithnon ki badh-duwaon ke jharnon tale be-
libas haiwaan ne nahaya hoga
waqt-o-jaan ki qimat jaan-ne wali janon ko
insan ne kitne dard diye honge
hamari asr-e-dua ke fizul intezar ne kithni
sadhaon ko dard me dabaya hoga
By Shaikh Mohammed Yasin

Comments