By Yashh Barrot
Aaj Aasmaan mein ek Indradhanush nikla hai.
Kyunki Romeo ne Juliet se nahin,
Ranjha se Pyaar kiya hai.
Toh Bataiye saare Raaj aur Simran sun na chaahoge
Romeo Ranjha ki Kahaani.
Ye aaj kal ki nahin
Ye Baat hai bohoot puraani
Toh Har Subah ki tarah Romeo mandir chale aata hai
Aaj Bhajan ki nayi toli aayi hai
Ye Romeo fatse jaan jaata hai
Us bheed mein use pehli baar Ranjha dikh jaata hai
Us chehre ko dekh ke, itne shor mein bhi
Wo apni dhadkan mehsoos kar paata hai
Romeo apni sunder palkon ke kone se
Ranjhe ko tukur tukur nihaarta hai
Ranjhe ki saadgi dekh
Romeo mand mand sharmaata hai
Bhakti mein leen ranjhe ko aas paas kisi,
Apne ke hone ka ehsaas hota hai
Tab who unse nazrein hata ta hai
aur Romeo se nazrein milaata hai
Romeo jhatse dekhta hai Unko,
Aur maangta hai bas ek saahara
Hey Ishwar agar ye sach mein prem hai,
Toh dedo bas koi ek ishaara
Tab Mandir mein ek chamatkaar sa ho uth ta hai
Murti ke hath ka phool Ranjhe ke pairon pe girta hai
Ab inka milan toh khud uparwaala bhi chahta hai
Maza aayega dekhne mein
Inke ye prem ko kaun rok paata hai
Jidher Romeo ki kai raatein guzar gayi,
Aasmaan ke toot te taarein gin ne mein.
Udher Ranjhe ki raton ka toh hisaab hi nahin,
Romeo ko Yaad karne mein
Dono ki itni raah baad
Ek raat Ranjha phir Romeo ke gaon lautaa tha
Aaj Amavasya thi kyunki
Chaand toh khud Romeo ke samaksh utra tha
Tab Romeo ne bhi thaan liya,
Is chaand ko ab phirse chip jaane na dunga
Akele akele taron ko gin ne,
ki baari phirse aane na dunga.
Wo Ranjhe ki aur Mitrataa ka hath badhaata hai,
Dil ki baat seedhe seedhe na kehkar
Dil ko thoda thoda tadpaata hai
Ranjha hasta hai kehta hai
Tumhaara mitra ban na manzoor hoga
Mera gaon tumhaare gaon se zyaada nahin
Bas kuch mil door hoga
Dekhte hi dekhte mahine beet gaye
Is beech dono ne hasaaya, rulaaya, sataaya tha
Ek dusre par kewal apna waqt lutaaaya tha
Kar li thi saari baatein unhone,
Ab Dil ki baat rakhne ka pal aaya tha
Kahin na kahin jaante the dono
Is liye kathin na tha
Usi mandir mein jahan dekha tha pehli baar,
Romeo ne keh diya uske man mein chipa jo tha
Aashiqoo ne chaand tarein itne tode hai,
Ki ab prem karne ke liye bas ye khulaa aasmaan hai
Mere is aasmaan mein teri roshni se Rang bharde Ranjhe
Tu jo haan kehde toh aajse ham apne sapne saanjhe
Ishka jawaab Ranjhe ne kuch aisa diya
Areh pagle tu meri haa ki raah dekh raha hai
Jo phool us din murti se gira tha
Woh aaj bhi maine sambhaala hai
Mere dil mein ab bas
Tere naam ke diye ka ujiyaara hai
Ahaa Prem, prem aur keval prem...
Kisi ki nazar na lag jaye inhe maanglo aisi dua
Kyunki aage jiska dar tha bas wahi hua
Chahe kitna bhi paak ho,
Lekin ye pyaar nayaa tha
Inki is Dosti par
Ab gaon waalo ka dhyaan gaya tha
Gaon waalon ne kahaa ki yadi ye prem sachchaa hai toh use saabit karna hoga
Agar naa kar paaye toh akele jeena, aur akele hi marna hoga
Romeo ne kahaa ki rehna hai saath jeevan bhar jab,
Bhale phir apno se hi ladna hoga
Yadi ham ye pariksha paar kar gaye,
toh aapko hamara ye prem swikaar karna hoga
Gaon waalon ne bola ki dekha jayega jab paar karoge ye pariksha
Zyaada kuch nahi karna hai bas tum dono ko is aag ke kuwe main chalna hoga
Ye wahi agni hai Jispe Sita maata ko chalna pada tha
Ye wahi agni hai jisme Rani Padmawati ko utarna pada tha
Ye wahi agni hai jisse Devi Draupadi ne janam liya tha
Ye wahi agni hai jisme Devi Sati apna shareer tyaag diya tha
Maan gaye Romeo aur Ranja, utar jayenge is kuwe mein
Jab Prem hamara sachcha hai , toh dare kyun pavitra agni ko chune mein
Chal pade dono apne Prem ko dikhaane,
Prem ka ye asli aur ek naya deedar gaon waalo ko sikhaane
Lekin sachche pyaar ki garmi agni seh na saki
Jal gaya sansaar saara, bhasm saare sawaal kar gayi
Jo jo sachche pyaar ke aad aaya, agni un sabhi ko nigal gayi
Reh gaye bas Romoe Ranjha, nabh ko ve dekh rahe
Nafrat ke us dhue mein, ab tarein phirse chamak uthe
Prem ki us barsaat mein,
Aaj Phir,
Aaj aasmaan mein Indradhanush nikla hai,
Kyunki Romeo ne Juliet se nahi Ranjha se pyaar kia hai
By Yashh Barrot
Comentários