Ideal Ladka
- Hashtag Kalakar
- Feb 11, 2023
- 2 min read
By Swasti Jain
"Kaisa ladka chaahiye ?"- Jab papa ne pucha, toh maine socha, par jawaab dene se pehle hi, unhone phir pucha - "Naukari wala ya business wala ?" - mere dil se ek awaaz aayi - "jissne bhi khud apna makaam haasil kiya ho, jisski khud ki apni ek pehchaan ho". Isse pehle ki dil ki baat zubaan par aati, unhone phir pucha - "Flat wala ya kothi wala ?" Phir se dil ne kaha - "Flat ho ya kothi, bass chaar deewaaro ka makaan na ho, ho - toh khushiyon se bhara ek pyaara sa ghar." Mai kuch kehti isse pehle chachu bol pade - "Ladka tall and handsome hona chaahiye", dil ne phir unki baat kaat'te huye kaha - "height chhoti bhi ho toh chalega, bass dil bada hona chaahiye." Phir dil ki baat dil mein reh gayi aur iss baar chachu ne sawaal kiya - "ladka delhi based hi hona chaahiye ya baahar ka bhi consider kar sakte hai?" Dil ne phir muskura ke kaha - "Uska ghar kahin bhi ho, par rehta vo sabke dilon mein ho". Ab takk to dil apni baat apne takk rakhne ka faisla kar chuka tha. Papa phir mere dil ki baat kaat'te huye kehte - "humaari ladki ka rang saaf hai toh ladka toh gorra - chittha hi hona chaahiye".
Iss baat ko to maano dil ne jung ka ailaan samajh liya ho, aur apni baat zubaan par le hi aaya - "Rang saaf ho na ho, kya fark padta hai papa, dil saaf hona chaahiye uska aur jahaan takk rahi meri baat, mujhe toh saanwla rang hi bhaata hai, mere kanha jaisa rang." Ab ye sunn kar papa ne sabse predictable harqat ki, vahi jo mostly harr Indian papa apni galti jaante huye, usse apne bachho ke saamne na maan'ne ke liye karte hai, 'topic change'. Toh meri baat ko poori tarah se nazarandaaz karte huye, papa aur chachu khud hi ye taiye karne lage ki mere liye ek 'ideal ladka' kaisa hoga. Ye dekh kar mera bechaara dil, phir mayoos ho gya, toh maine usse kaha - "Chal koi na yarr, inhone toh apni baat sun'ni nhi hai, kamse kam tumhaare alfaazon ko kaagaz par to utaar de."
By Swasti Jain

Comments