Ibadat - An Ode To Love That Endures Time
Updated: Jun 12, 2023
By K. Swati Rao
Bachpan se hi kavitaye likhne or bolne ka shawk tha mujhe or mano ye shawk kisi chati ya satvi ki kisi class main hii kho gaya tha kahi ..lekin ab itne saalo k baad fir se likhne ka man karta h fir se kavitaye sunane ka man krta h
Tho yeh kuch panktiya tumhare liye
Apna haal bayan karna chahti hu .....kuch alag hi rehne lagi hu aaj kal
Ya yun kahon kuch khili sii rehne lagi hu
Mehaz uske naam se mera chehra kahin dur chamak rhe kisi taare sa chamak uthta hai
Aaj k zamane main chitthiya. Or dariyan kahan koi likhta h
Fir bhi main uske naam ki kai dairiya bhari jaa rhi hu ..
Kabhi tho Yun bhi sochti hu ki ye tum hi ho naa
Jo kabhi kehti thi ki naa baba na ladko se kosoo dur rahungi
Aaj vo subah shaam kisi ki raah taakti hai
Hasi aati hai khud par jab sochti hu ki ye tum hi ho naa .. Jo kisi ladke se haath milane se katrati thi .. aaj khayalon main khud ko uski bahon mein dekhti hu
Aaj Hume mile 3 saaal 4 mahine 27 din ho gaye lekin tumhe pata h aaj bhi tumhare naam k ehsaas se ,mano lehar daud uthti hai mere zehan mein
Main Aaj bhi wahii us train k dabbe mein khadi hu Jahan tumne pehli baar mujhe seene se lagaya tha .. us din ki vo narma narmi Aaj bhi mehsoos karti hu
Main Aaj bhi tumhari ek jhalak ko tarasti hu ...
Accha suno
Ek baat puchni thi mujhe tumse !! Maine suna hai pyaar waqt k sath badal jata hai ???aisa hai kya??
Ab tum hi batao naa !! Kya mohabbat bhi Mausam ki tarah apne rang badalne lagi hai !!
Accha chodo
Ek baat pata h tumhe ?? Ki Aaj bhi tumhe dekh k bass dekhne ka man krta hai ... Aaj bhi tum jab meraa naam pukarte ho tho adab si sukoon mil jati hai iss Dil ko
Aaj bhi bas tumhari aankhon mein voo izzat or mohabbat chahti hu or yakeen maano bas tumhari un aankhon mein kho Jana chahti hu .... Ab or kyaa hi haal bayan Karu ?? Aaj bhi bas kuch khili sii rehti hu
Tum ise mohabbat kaho ya Ishq
main ise ibadat kehti hu...
Main ise ibadat kehti hu
By K. Swati Rao

Comments