Heer Ki Qabr
Updated: Dec 2, 2022
By Kalp Raichura
Shhhh iss qabr mein meri heer rehti hai, dard naasuur hai tum ab zor na chalaana, kal shaam issi waqt meri bhi ek qabr bana na, qaamil hona hai mujhe, apni heer ke saath shaamil hona hai mujhe...
Heer
O raanjhe teri nafs ruki toh malaal-e-yaar karungi kaise, rooh meri gar ranj hui toh, vasl-e-yaar karungi kaise?
- -
Heer ki Qabr
Mandi house ke pass ek tapri pe chai peete hue Saumya aur main ek play ki lines likh rahe the, play ka naam tha, 'Heer ki qabr"
Maine chai ka ghut leke, haste hue kaha,
K - Garam Chai ka sip liya jab maine, mere hoth jal gaye, mere hothon ka dard ab naasuur ho gaya hai. Accha ek baat bata, Inn kahaaniyo ko amar prem kathayein kyun kehte hai? Kyuki ye abhi tak sabko yaad hai? Yaar soch tera mera break up ho gaya, kisi ko kuch nahi pata hoga humaari break up story ke baare mein. Kitna sad haina ye?
Saumya - Sad! Sad yeh hai ki humaara break up hoga? Ya humaari break up story amar nahi hogi?? Tu na play ke characters mein na zyada ghuss gaya hai, chupp chaap chai peele.
K - Nahi dude, soch na, agar humaari kahaani duniya ko pata ho, chapter ho kisi qitaab mein humaari kahaani ka. Kya sahi scene hoga na.
Saumya - Haan!! Kya sahi scene hoga! Chapter 1 - Ek ladki ne apne boyfriend ko isliye chhod diya kyuki wo baht bakaiti karta tha. The End.
Saumya ne apna khaali chai ka cup dustbin mein feka aur boli, "Chal phir, kal milte hai, baht late ho gaya hai"
K - Haan, theek hai, tum jaa rahe ho, humaara dard naasuur ho gaya hai.
Saumya ke jaane ke baad maine mazaaq mein chai wale bhaiya se kaha, "Heer chali gayi, ab raanjha kya kare?, Bhaiya ne haste hue kaha, "Intezaar".
- - -
Saumya ke gharwalo ke saamne betha main unko, saumya aur meri ye aakhri baatein qareeban sauvi baar suna raha tha.
Aaj pure chaar saal ho chuke the usko gayab hue. Uss raat metro se jab wo ghar gayi, woh kabhi ghar pohchi hi nahi. Humnein har jagah dhunda, police investigation se pata chala ke metro se utarke usne cab li thi aur cab wale ne usko ghar ke bahar hi chhoda tha. Par woh ghar kyun nahi gayi? Aur ghar nahi gayi toh kahan gayi? Kya hua uss raat? Yeh kuch sawaal mere baaki har sawaalon se sawaal karta hai..
"Kaash main raanjha hota aur woh heer, kum se kum mujhko uski qabr to naseeb hui hoti."
Heer ki qabr
By Kalp Raichura

Comments