Har Wo Ek Pal
By Shreya Kumari
Jiyo har ek pal ko,
Mat kaho us pal ko ki ye kharab hai,
Kal jab jaoge us intezaar ke pal me
Toh fir kahoge ki ye toh usse bhi zyada khaufnaak hai,
Tum bhaag rahe ho is soch me ki kal better hoga
Kho rahe ho us behtar aaj ko bhi ye soch ke ki kal to sab settle hoga
Jab bachche the to bade hone ki jaldbazi thi
Bachpana ab theek nahi lag raha tha toh jawani se rubaru hone ki sauda-baazi thi
Dosto,
Jawani to aayegi hi, use to aana hi hai
Mat bhulo ye umr us tick-tick badhte samay ki tarah hai, ise to sirf jaana hi hai
Tum baste ke bojh se darr gaye aur tumhe laga roz school jana bahut kathin hai
Tumhe kahan pata tha ki uss samay uthaya wo bojh se hi jeevan me safalta mumkin hai
Jawani ke daur ne sirf zimmedariyan de di
Fir tumne kaha… "Bachpan theek tha yaar, ye to aur bhi zyada namumkin hai"
Us bachpan me to bas baste ka bojh tha, ab to ghar-parivaar, job — har cheez mushkil hai
Fir mann ne kaha —
"Bas ab ye nibha lo, aage future me sab theek hai"
Hamara kya tha, lag gaye hum ek naye daur me
Jahan mehnat aaj aur aaram kal ke us sapne me tha
Karne lage fir wahi galti hum us mod me
Socha, abhi mehnat kar lete hain, fir to aaram hi aaram hai
Kho diye fir wo saare pal kyunki ab hum khud is zindagi se hairaan hain
Umr bhi gayi, wo saare pal bhi gaye
Dheere-dheere karte-karte jeevan ke har panne, wo saare lamhe bhi gaye
Ab to na wo kam bojh wala bachpan aa sakta hai, aur na wo jawani ki mastiyan
aaj nahi, kal acha hoga" — is soch me doob gayi meri saari kashtiyan
Ab to na aaj acha hai, aur na kal ka bharosa
Sab milte hue bhi mann ne mann ko hai roka
Aapna bachpana khoya jawani bhi pai
Job bhi le li, ghar-grihashti bhi banai
Bacho ki ummeedein poori to ki lekin unki ummeedo se na paar pai
Beet gayi jawani zimmedariyo ki aadh me
Ab mera bacha mujhe sab kuch dega
Ye soch bhi doob gayi us panj ki bhaad me
Ab to na koi ummeede bachi thi us behtar kal ki aur na wo kabhi na milne wala behtar kal
Aa gaya budhapa, khote-khote har wo ek pal
Ache pal ke intezar me ab zindagi ko hi alvida kehne ka mauka aa gaya
Jo hume mila tha jise humne gawa diya wo hawa ka jhoka aa gaya
Sab hamara hote hue bhi kuch na tha ab hamara
Ek din behtar kal aayega is soch ko kuch yun tha maine sawara
Chin liya sab kuch mera us behtar kal ke khwab ne
Kho diya Maine sab kuch jise bhagwan ne tha mujhe shoupa
Kho diye har wo ek pal, har wo ek mauka
By Shreya Kumari

Shai baat hai yrr 😇
Is kavita ne yaad dila diya ki hum zindagi ko jeete nahi bas postpone karte rehte hain. Bachpan mein bade hone ki jaldi jawani mein settle hone ka intezaar aur budhape mein guzre hue kal ka afsos - har daur mein humne behtar kal ke khwab ke liye aaj ko kurbaan kar diya. Yeh likhawat sirf yaadon ka bojh nahi, balki ek chetavni hai ki jo pal abhi haath mein hai, wahi sabse keemti hai. Kal ka bharosa nahi par aaj ka mauka zaroor hai.. Agar hum use pehchaan lein....