top of page

Hamari Pehli Mulaqat

By Madhvi Sharma


Kehte hai ki aksar pyar or izhar mulaqat hone k baad hota hai,

magar uss pyar ka kya jo ho toh jaata hai

Bas mulaqat k intezar m gehra hota jaata hai,


Kitni hamari mulaqaton ki baatein kia karte the hum,

Jaise, milenge toh dil k tamam raaz zahir karenge,

baaton baaton m tum keh diya krte the ki,

mujhe dekhoge toh gale se laga loge,

or yahi baatein karte hue so jaate the,

phir m ye sochti thi ki tumse mil k

kya kahungi, kya honge mere pehle lawz,

kya m tumse pyar ka izhar karungi ya ladungi

iss baat p ki itna waqt kyu lga dia mulaqat m,

kuch keh bh paungi tumhri aankhon m dekh k

ya bas tumhe gale se laga lungi,

Phir ek subah tumne kaha ki tum mere seher aa rahe ho,

Khushi itni hui ki puri raat sirf mulaqat k baare m soch k nikal di,

Ab tum 1 ghante m uss jaga pahuchne wale the,




ye wahi jaga h jaha socha tha humne bahut si yaadein bnayenge,

tum intezaar kar rahe the,

tum or tumhari ye aadat humesha mera intezar karne ki,

maine tumhe dekha k tum baar baar raste ko dekh k mera intezar kar rahe the,

mathe p ek bindi, aankhon m kajal or zulfein khuli hui,

kyuki aksar tumse suna hai ki m bindi m behad khubsurat lagti hu,

Or jaise maine socha tha wese hi lag rahe the tum,

hamari pehli mulaqat thi or humne bas ek dusre ko gale se laga lia,

Sach m waqt Kam padh gaya,

Or tumse phir ek mulaqat ka waada le k waha se chali aai,

Dil toh bahut bhari tha ki ab hum kab milenge magar yakeen tha bahut jald,

M iss soch m gum thi ki aksar chahne walo se mulaqat ka waqt kam kyu lagta hai,

esa kyu lagta hai jaise kuch or waqt mil jaata

magar mulaqat k ek ek pal ko saanson ki tarah lete toh waqt kam nahi lagta,

lagta jaise jitni mulaqat hui utni bahut thi....



By Madhvi Sharma





Recent Posts

See All
Warden's Rite

By Jazzanae Warmsley Set in Tiremoore, a parallel 21 st  century realm where magic governs justice and resurrection is never without consequence. Warden’s Rite (Chapter 1) In the twilight-bound city o

 
 
 
Abyssal Light Part 1: Still

By Drishti Dattatreya Rao Nina:   I opened my eyes. Another day. Tiring – I couldn’t even get out of my bed. I rolled over and fell off the bed. Somehow, it broke. Ugh, every day is such a pain. I hav

 
 
 
The Girl At The Well

By Vishakha Choudhary Phooli was unhappy. She had already been to the well twice today. And the first time around, she had to carry an extra bucket of water at top of her two matkas. The second round

 
 
 

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
  • White Instagram Icon
  • White Facebook Icon
  • Youtube

Reach Us

100 Feet Rd, opposite New Horizon Public School, HAL 2nd Stage, Indiranagar, Bengaluru, Karnataka 560008100 Feet Rd, opposite New Horizon Public School, HAL 2nd Stage, Indiranagar, Bengaluru, Karnataka 560008

Say Hello To #Kalakar

© 2021-2025 by Hashtag Kalakar

bottom of page