Hamara Tumhara Hindustan.
- Hashtag Kalakar
- Jun 6, 2024
- 1 min read
Updated: Oct 3, 2024
By Mehak Dharmat
Mein barrsu joh aaj toh,
Meri niyyat par gehre sawal hai,
Mein kalam joh uthaayun toh,
Shakhsiyat par meri bawal hai,
Who mandir dhundhe, kabhi masjid dhundhe,
Ram rahim toh bus inke karnamo se hi badnaam hai.
Mein barrsu joh aaj toh,
Meri niyyat par gehre sawal hai,
Mein hu jawala aur aakrosh bhi,
Mein hu nadiya aur santosh bhi,
Kiyun inki lakeero se kheenchu khud ko ajj mein,
Kiyun inke khayalo se maan jaun haar mein,
Inhe bataun bhi toh kya hi naam apna,
Tilak ya topi se pehchante yeh insaan yahan,
Basta tha joh pyaar kabhi inn galiyaaron mein,
Baant kar rakh diya naam par aadhikaron ke.
Mein barsu joh aaj toh,
Meri niyat par gehre sawal hai,
Mein hu kesar, harrah bhi mein hoon,
Inqlaab ki iss jhaang mein, aaj bhi dhatt kar khada bhi mein hoon, Mein hoon hindustan,
Kisi rang mein mein na batt sakta hu,
Mein hoon hindustan,
Kisi ek shaqs ka nahi- purey desh ka khawab hun, Phir bhi joh mein barrsu aaj toh,
Meri hi niyat par gehre sawal hai,
Mein kalam joh uthayu toh,
Shaksiyat par meri hi sawal hain.
By Mehak Dharmat

Comments