GUFTAARI
- Hashtag Kalakar
- Sep 28, 2022
- 2 min read
By PUSHPENDRA SINGH PRAJAPATI
KUCH
Kuch jazbaat alfazon ke hisse nahi aate, Kuch mizaaz aitrazon ke hisse nahi aate, Kuch ahsas lihaaz ke hisse nahi aate. Kuch jaam aate hain sirf hontho ke hisse, payalon ke hisse nahi aate. Kuch nazare aate hai andhere ke hisse, ujalo ke hisse nahi aate. Kuch paikar aate hai ungliyon ke hisse, deedo ke hisse nahi aate. Jo qisse hain tere-mere darmiyan bin lafz ke, wo jubano ke hisse nahi aate.
WOH ANDAAZ
Tere rubaab-ae-husn ki hawao me munadi hoti hogi, Chukar fiza tujhko aur bhi shababi hoti hogi, Koi kali gulaab ki teri nazro se aur bhi gulabi hoti hogi, Ae aafreen Rubaru hoti hogi jisse bhi tu ek dafa, Teri nazili Uske khwabon me har raat hoti hogi.
MUMKIN HAI
Har badalti taariekh pe badalta tera tarjuma-o-jamaal, Mukarrar hai, muqammal hai,Yakeenan teri tareef na ekmust hai, Beshaq teri maujudagi me ek musq hai. Teri Har tasveer nazara hai dilqash, Har ek pe alag nazm mumkin hai, Tu nikal to sahi kisi shaam masti me jamane mei, Teri adaon pe puri raat guftgu-o-bazm mumkin hai.
TALABGAAR
Hum aapke talabgaar yuhi nhi hue,
Baar baar rubaru aake apne ye latt lagai hai,
Ittefaq dekhiye
Un dino humara sanam-gar bhi khali tha,
Or Apki jhalak to nihayati karismai hai.
PEHLI DAFAA
Jaise taaza-taaza khumar chada ho ishq ka... Chaliye wahan se shuru karte hain, Pehli dafa ke jaise khudko ek-dusre ke rubaru karte hain, Ek jhalak dekhne wali tadap mehsoosh karte hain, Jamaane se chupke naino hi naino me khamos guftgu karte hain, Tanhai me kahi sukoon se gale lagne ki aarzoo karte hain, Jo bane sath me hasne wajah, har uss wajah ki justjoo karte hain.
By PUSHPENDRA SINGH PRAJAPATI

Comments