By Kunal Chaudhary
Aaj takra gaye they us’se
jisne meri raah badal daali thi,
wo shola aaj fir dhadhak utha
jiske hone ka mujhe ilm na tha,
bhaap gaadi sa dil dodne laga
saanso ne fir aaj seene ko
alwida kehna chaha,
usne dekha sawalon se bhari nigahon se
aur main nazrein jhukane ki bas sochta raha,
hadbadahat wahi thi aaj bhi,
na haathon ne
na pairon ne sath diya,
aur lafz hothon pe aa kar
nashein mein gota lagate rahe,
aaj fir takra gayi raahein
aur aaj fir hum takrate reh gaye,
adhuri kahani ki
adhuri shuruaat reh gayi.
By Kunal Chaudhary
Comments