Fiki Muskaan
Updated: Jul 12, 2025
By Vishal Singh
Na kisi ki baato me zikar hota hai,
Na kisi ke khwabon me ata hun,
Raaton ki na kisi ki udi hui neend hu,
Na din me kisi ki yaad ki wajah ban pata hu,
Kuch itna aam hai hona mera,
Ki mehfilo me bhi main tanha sa reh jata hu,
Na hi nazar-e-fikar hota hai
Na kisi ki ankhe tarasti hain deedar ko,
Na kisike intezar ki wajah ban pata hu,
Fiki si hain ab toh muskan bhi yun apni,
Ki na koi ghayal hota hai,
Na kisi ke dil me utar pata hu
By Vishal Singh

Comments