“Farmaaish”
Updated: Jan 19, 2024
By Tanveer Kaur
naa jaane yeh dil kyu
aaj farmaaish phir aisi kar raha…
munhadim haunslon ki neev par
kyu naye armaano ki imaarat bana raha?
fizaayein palat jo tehreek si kar gyi
kyu aandhiyon se takraane ki zarurat kar raha?
dhalte suraj ki shuaaei'n samet
kyu chingaari ragon mein foonk raha?
fizool ke takhayyulon se
kyu aashiyana mann ka sawaar raha?
naa jaane yeh dil kyu
aaj farmaaish phir aisi kar raha…
By Tanveer Kaur

Comments