Esii Insaan Maa Kehlati Hai
By Soham Jain
Ghar se niklo toh rumaal ka yaad dilati hai
Acche kaam ke liye dahi shakkar khilati hai
Woh daant ti hai magar pyaar bhi jatati hai
Jisko maana hai sabne bhagwaan
Esii insaan maa kehlati hai
Maa ki mamta ko samajhna
Nau mahine rakha kokh mein
Uske baad tumhe duniya dikhayi thii
Hua tha jab tumhara janam
Sabse phle muskan maa ke chehre par aayi thii
Maa ne pakda tha hath zor se
Gir mat jaana
Ye toh zindagi ki shuruwat hai
Fisal mat jaana
Maa ne bahut kuch sikhaya
Aaj bhi sikhati hai
Mein seekhta hu
Seekhta jaaunga
Hu mein maa ka laadla
Apni maa jaisa banke dikhaunga
Maa rehti hai hamesha sath
Pehle bhi sath nibhayi thii
Maa mere sath hai
Aaj bhi mujhme samayi hai
Kal bhi mujhme samayi thii
Jab pehli baar chalna seekha tha
Tabhi toh fisalna seekha tha
Chalte chalte gir jaate thee
Aankhon mein aasu aa jaate thee
Maa jab tumko uthati thii
Tumhare aasu poch tumko hasati thii
Rote toh abhi bhi ho
Roye thee pehle kabhi
Yaad kar
Maa hee toh thii jo tumhe chup karati thii
Galtiyo par maa gussa karti
tumhare upar chil laati hai
Jab kabhi thake hue aate ho ghar
Toh maa apne haathon se khana khilati hai
Har insaan chahta hai uski maa ho
Ek maa hee toh hai
Jo gusse mein bhi pyaar dikhati hai
Bina bole baat ko samajh jaati hai
Kabhi utha deti hath
Lkin maarne ke baad chup bhi
Maa hee karati hai
Maa ka ek chaata bhi sahi raasta dikhata hai
Maa ke maarne se
Pyaar kam nahi ho jaata hai
Pehle sab batate thee maa ko
Ab baatein chupate ho
Kabhi maa se bhi baat karo
Naa jaane kyo dooriyaan badhate ho
Maa tumko paal posh kar badha karti hai
Tumko apne pairo par khada karti hai
Fir bhi tum maa par chil laate ho
Maa ko gussa dikhate ho
Woh bhi maa hai
Chup chap sunti jaati hai
Ek kone mein baith kar aasu bahati hai
Maa ka ek ek aasu keemti hai
Uski keemat tum kya chukaoge
Jisko maana hai bhagwaan
Uss maa ko rula diya
Ek baat yaad rakhna
Zindagi mein kabhi safal nahi ho paaoge
Mere hathon mein meri maa ka hath hai
Mein darta nahi kisi se
Meri maa ka aashirwaad mere sath hai
Maa ki bhi hongi kuch pareshaniyaan
Kuch sapne adhoore hai
Ab waqt aa gaya hai
Woh sapne karne poore hai
Ek baat kehni thii maa
Aaj kehna chahunga
Aap jo bhi bolo
Aapka har ek sapna
Mein poora karke dikhaunga
Ye jo shabd hai maa
Iska arth bahut bada hai
Maa ab pareshaniya yun chale jaayengi
Dekh maa tere sath
Tera beta khada hai
Ab toh maan liya hoga
Bhagwaan hai ye insaan
Jiska aashirwaad hamesha sath hai tumhare
Yahi hai woh jo har dam tumhara sath nibhati hai
Esii insaan maa kehlati hai
By Soham Jain

Comments