- hashtagkalakar
Ekaant
By Aishvarya Upadhyay
Suno…
Kuch kahungi toh manoge..?
Kya manoge tum…
bheetar ke 'ekaant' ka ek raaz.
Jaise lage shoonya mai ghumta ye 'bhramaand'.
Kabhie kitna shor aur..
Kabhie kitna shaant.
Shor jo tere bheetar..
Shant jo mere bheetar.
Jaise kuch ukhda-ukhda ,
Jise judkar, gehrayion mai phir se utarne ka intzaar .
Jaise kuch sehma- sehma ..
Jise 'babaki' se pyaar.
Jaise ufante se jazbaat ka ek
'ulka pind'...tere hi kashmksh par girne ko taiyaar.
Mano.. jo jeet aur haar ki
'shrinkhalao' ke bhi ho paar.
Jnha aankho se behte 'ashru' ki nadiyaan…Hridya ke samandar mai jaa gire..
Aur jnha girte hi tujhko tere 'antarman' ka har ik kona ...rupantarit ho utha sa dikhe.
Jb kuch yun 'vilin' hone ko ho tum taiyaar .
Sambhavtaa, tum smajhna mil gya hume humaara 'ekaant'.
By Aishvarya Upadhyay