Ek Subha
- Hashtag Kalakar
- Apr 26, 2023
- 2 min read
Updated: Jun 10, 2023
By Doyir Riram
Aaj beraamda mai baithi chai pi rehi thi. Wohi beraamda jaha mai roz chai pite huye ya toh apne aap mai khoyi rehti, ya laptop mai kuch na kuch type karti rehti. Sard ka mausam hai toh beraamda mai chai pite huye dhoop ka maza lene lagi. Aaj laga mano maine apne beraamda se milne wali Nazaro ko kabhi theek se nihara hi nahi.
Yaha dhoop subha ke chhah baje hi khilkhilane lagti hai. December ka mahina, zahir si baat hai inn pahaadon main dhoop sabhi ko pasand hogi. Mere beraamda main dhoop ki Roshni ko dekh mujhe itna kabhi lalach nahi aaya jitna abh aa raha tha. Jhat se apni chadar or takiya bahar dhoop mai sukhane lagi. Fir apne liye chai benai or beraamda mai baith garma-garam chai pite huye Nazaro ka luft uthane lagi.
Dhoop ki Suhani garmi, halki thandi hawa, nila saaf aasmaan, nile-hare pahaadon or junglo ke beech basa chota sa aawas or poore paharo mai gunjta Nyishi samudai ka lok-geet. Haa……Mann bha geya. Mann ke bheetar jo shoor tha aaj shant hai. Shayad pahadon mai gunjti lok geet mai ghum hai. Inn geet ko sunn mano mai apne purvajo ke samay chali gayi…. Jaha gaon mai jashn ho raha hai or log kushi mai lok geet ga rehe hai. Jashn isiliye kyunki iss saal fasal acchi lagi hai. Itna anaaj hai ki saalbhar gaon ke log bina kisi jijak ke apne parivaar ke saath santusht reh sake. Gaon ke pujari amma ne Ane Donyi ko gaon walo ki taraf se dhanyavaad prarthna bheji. Aaj gaon mai fasal katkar khatm ho geya isiliye kushi mai log jhum rehe hai. Gaon ke purush haaton mai Apong or Amin liye aag ke sammukh baith dhan katne ke samay huye kuch hasya kisse sunate huye maza le rehe hai. Aurate Apong nikalne mai or jashn ke liye khana benane mai vyast jarur hai lekin acchi fasal ke liye kush bhi. Aur kosis ker rehi hai ki aaj ki dawaat mai sabhi pakwaan swadisht bene. Isiliye Takar ki maa ko pakwaan ki zimmedari di hai or baaki mahilaye unhe saath dengi. Apong nikalne mai Rinya ki maa ne bhi bohut accha kaam kiya hai, purush kafi tarif ker rehe hai. Mahilaye kush hai,bacche apne hi toli mai kush hai or mata dwara pakaye Amin ka luft utha rehe hai.
Aaj pahaadon mai, junglo mai, chiriyo ke cheh-chahane ki or nadi ke lehron ki aawaz ke saath gaon ke logon ki hasi or lok-geet ki gunj shamil hai. Poora vatavaran adbhut ho geya. Kab inn pahaadon or junglo ko dekhte-dekhte apne beraamda mai hone ka ehsaas huwa pata hi nahi chala.
Kitni shakti thi iss lok-geet mai jo mijhe hamari purvajo tak le geyi, jo mujhe meri pehchaan yaad dila geyi.
By Doyir Riram

Comments