Ek Junnon Aisa Bhi
By Rishika Agrawal
Na tha haath mein rupaiya
Na hi thi umeed ki kiran
Bas vidya batorne ka
sankalp kar baitha tha mann
andheri raaton mein soya nahi
tufani baarishon mein jhuka nahi
pairon mein chaale pade dhoop ke
par kadmon ko maine roka nahi
Night school mein padha
Padha mein udhaari pe
Purane akhbaar bhi maine beche
Ki mil jaye chaar aane
Dheere dheere mehnat rang layi
Padhai kari hui kaam aayi
Padhna likhna seekh liya
Apni aawaz ko kalam se naam diya
Akhbaar mein ab likhne laga
Pustake bhi aur padhne laga
Mere vichaaro ko raah mili
Phir se jee uthne ki chah khili
Aaj ek lekhak kehlata hun
Apne hastaakshar dekar aata hun
Apne junoon se aage badhna
Apne hunar ki aag ko kabhi na bhujne dena……………..
By Rishika Agrawal

Comments