top of page

Ek Bus Mein, Kayi Musafir

By Hitesh Narula


Ek hi bus mein, ek hi rasta liye, 

kayi musafir, apni manzil ki aur nikal pade.

Dekhte hue sab waqt ko guzarte,

kuch uss waqt mein sirf zindagi ko kaat rahe, 

toh kuch uss waqt ko sapne dekh kar nikaalte.

Har musafir ki alag kahani, 

kisi ka basta gham se bhara, 

toh kisi ka basta hai hi nahi.

Khidki se jhankte dekha bahar, 

toh aur bhi musafir nazar aaye,

dil mein chhupa dard liye,

jahan ke samne khushi ka nakaab pehen aaye.

Nikal pade hain phir bhi musafir, 

har kadam sapnon ki raah par chalte, 

intezaar mein hain bas uss aane wale mod ka, 

jis par manzil khadi unhe lagane gale..


By Hitesh Narula


0 views0 comments

Recent Posts

See All

The Battlefield

By Adil Raziq Wakil Forward. I must keep moving forward. Can’t look back. Can’t change lanes. Forward. I see the end. If only I could...

The Clothes They Left Behind

By Akanksha Patil The Sweater I keep his sweater, frayed and old, A warm embrace on nights so cold. He held me close, I held him tight,...

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page