Ek Aam Aadmi
By Deepanshu Sharma
Ek aam aadmi roz subah naha-dhokar ghar se nikalta hai
Kuch karne ka jazba apne andar lekar chalta hai
Na pata usey kahan jaana hai, na pata usey kahaan jaata hai
Bas bhed-chaal mein woh, din-raat yun hi bhaagta rehta hai
Sapne uske unchein hain, neend ka kuch pata nahi
Bas thokron ko bhi seedhi samajh kar, upar chadhta jata hai
Pahunchega ya nahi, yeh nahi jaanta woh
Lekin dil se pahunchne ki mehnat poori karta hai
Ek aam aadmi roz subah naha-dhokar ghar se nikalta hai
Galti se bhi ho jaye agar raaste mein muhabbat ussaiy
Toh sahi raaste par bhi jaate hue, na jaane kahaan-kahaan woh bhatakta hai
Agar sambhal gaya sahi waqt par, toh theek sab
Nahi toh ishq ke bhanvar mein phasta jaata hai
Kuch hoti hain aisi mehbooba, jo ussaiy aage badhati ho
Lekin mere yaar hadh se zyada toh barbaad hi kar jaati hain
Ek aam aadmi roz subah naha-dhokar ghar se nikalta hai
Phir bhi agar woh pahunch jaye manzil par apni
Toh khushi mein bhi woh kahin chupke se rota hai
Kyun?
Woh sochta hai jab ki aage aate-aate peeche kya chhoot jata hai
Jeevan toh wahin tha bas ab toh woh sapne jeeta hai
Zindagi bhi ab naseeb nahi hoti
Muhabbat ka toh zikr kahaan
Kaamyabi ki godh mein aate-aate
Piche hi chhoot gaye sab rishtey-naate
Ek aam aadmi roz subah naha-dhokar ghar se nikalta hai
Kuch karne ka jazba apne andar lekar chalta hai
Kahaan jaana hai usko pata nahin
Na jaane kahaan woh chalta jaata hai
Na jaane kahaan pahunch jaata hai
Na jaane kahaan pahunch jaata hai
By Deepanshu Sharma

Comments