- hashtagkalakar
Eik Adhuri Nazm
By Nikhat Nazneen
Purani dairy ke
Farfarate panno se
Eik adhuri nazm
Meri tawwajjo
Kheech leti hai
Mai sochti hun
Aakhir ye nazm
Kyun adhuri hai?
Chalo aaj mai isko
Mukkammal kar hi deti hun.
Kalam haath me lekar
Na – jaane kab se baithi hun,
Kabhi lafz saath nahi dete
Kabhi lai ban nahi paati
Kabhi koi sira haath aata hai
Kabhi koi jazba choot jaata hai,
Kabhi ibtida par shak
Kabhi anjaam par tashweesh.
Barson beet gaye lekin
Wo nazm ab bhi adhuri hai .
Is adhurepan me jo
Khoobsurat jazbaat pinha hai
Mukkammal hone par shayad
Wo Apni aab ko baithen !!!
By Nikhat Nazneen