Dussehra
By Divyataa singh
Manushya, rachna jiski bhagwan ne ki,
Manushya, rachna jiski bhagwan ne ki,
Maya ne jisko pehchaan di,
Jiske bheetar ram bhi hai aur ravan bhi,
Anbhigya hai jo kabhi ram tatva se,
Kehlata vo ravan hai,
Anbhigya jo ravan tatva se,
Ram ko vo pata hai.
Ram aur ravan , do Pehlu hain jiske,
Manushya vo kehlata hai,
Jo man se ravan nikalde,
Ram ko vo pata hai.
Krodh ka dhairya se, lobh ka santosh se, moh ka prem se aur irshya ka sadbhavana se jo dehan karta hai,
Bas vhi ram hai jo man ke ravan ka karta dehan hai.
Kyu ram ko dhunde tu bahar hai,
Jab ram samaye tere bheetar hai,
Bas jala apne bheetar ke ravan ko,
Ram tere bheetar hai.
By Divyataa singh

Comments