Do Patang
By Indira Penubolu
Painch lad chuki thi,
Maanja dono ki Tez thi,
Ek bana kaanch ki tooti hui Chudiyon se…
Hara aur Laal…
Duja bana Beer ki Baatal se..
Hara aur Saawla…
Magar bani thi dono haath se,
Pyaar se.
Haarenge dono…
Ya jitega ek?
Dekhna yehi Baaki thi.
Dono Tej,
Pyaar mein aur Gyaan mein,
Dono mein.
Dono ek duje mein lapete hoon e the
kho gaye the,
Hawaa bhi Tej thi,
Ek ne chodi dheel,
Tho duje ne kiya kheench
Kath gayi dono ki maanja,
Kath gayi woh Dor,
Magar, saath jud gayee …
Do Patang.
By Indira Penubolu

Comments