Diwali
- Hashtag Kalakar
- Sep 22, 2025
- 1 min read
By Kunal Sood
Sabhi diwali khushi khushi mana sake
Isliye diwali ghar se door manata hu
Koi gham nahi patakhe sath na fodne ka
Un patakho ki guunj mujhe yaha tak sunayi deti hai
Vo ghar ko sajana..mein nahi kar pa raha..
toh kya..
ghar sajj to raha hai na
Mithayi ki khareedari mein bhagidaar nahi toh kya..
mithayi aa toh rahi hai na
Ghar mein jalte ghee ke diyo ki mehek aa jati hai..jab aankhe band karta hu
Vaha jalti fuljhadiyon ka dhua dhundla kar deta hai mere bejaan kamre ko..
jab aankhe band karta hu
Mujhe jhaank raha hai kurta mera almarih se
sochta hoga kya ayegi iss baar baari meri?
Shayad agli baar..
par aaj nahi
Aaj kaam par jana zaroori hai!
By Kunal Sood

Comments