Dil Ruk Jaata Hain
By Gunjan Narula
Koshish toh karti hoon tumse baat karne ki,
Par har baar dil ruk jaata hai.
Zubaan tak aate hain lafz,
Par saans ke saath kho jaata hai.
Shayad ab bhi kuch baaki hai,
Jo kehkar bhi keh na paati hoon
Tum door ho,
Par dil ab bhi wahi jaata hai.
By Gunjan Narula

Comments