Dil Mein Panah
- Hashtag Kalakar
- 2 hours ago
- 1 min read
By Simran Malhotra
Jaan toh sab nisaar kartein hain,
Humaari jaan aap par kurbaan nahi,
Chotti si hai humaari wafa,
Poori aapke naam kar dein, inkaar toh nahi?
Fariq lamhon main nahi, har mashrrofiyat mein unhe yaad karein,
Jab rooh mein bas gaye ho, waqt nikaalne ki baat hi nahi
Imaan-e-ishq nibhaya hai, shiddat se
Iss fakiri ki raah chalne mein humein ab khauf nahi
Roz junoon ka maufza bharte hai
Sabr se, ab iss se bad kar junoon bhi nahi
By Simran Malhotra

Comments