Datt kar karna samna mushkil ka
By Wajeeda Unnisa Begum
Ke aag me tapp kar hi nikhaar aata hai sone ka
Lo sabaq uss Masum se jo gir kar bhi haar nahi manta
Girne ke baad bhi uth kar chalna hunar hai insan ka
Ho taveel ya chhoti raah , manzil hi hota hai maqsad har safar ka
Jo maqsad hi nahi toh kya matlab aisi zindagi ka
Uljhanein aayegi har qadam or mod par
Phir bhi Datt kar karna samna har mushkil ka
By Wajeeda Unnisa Begum

Comments