Darmiyaan
top of page

Darmiyaan

By Muzammil Bari


Main door tum se na ja sakunga

Main paas bhi ab na aa sakunga

Jafa karooonga kabhi na tumse

Wafa bhi main na nibha sakunga


Hai ek taraf do qadam pe manzil

Hai doosri oar meri aahe

Hai khamoshi ek jaga labon par

Aur ek taraf bolti nigahein

Kahunga kuch na zabaan se lekin

Nazar se kuch na chhupa sakunga





Khafa khafa si ye umr saari

Rahegi dil me khalish tumhari

Tumhe jo main bhulna bhi chahu

Nahin ye mumkin main janta hoon

Kabhi karunga na yaad tumko

Main na hi tumko bhula sakunga


By Muzammil Bari







0 views0 comments

Recent Posts

See All
bottom of page