- hashtagkalakar
DARIYA KA NASEEB
By Nikhat Nazneen
DARIYA KA NASEEB
Eik azimo-shaan kohsaar
Ki peshani cheer kar
Jo bahar aayi to
Khud par hi kitna nazan thi.
Wo ithlaati, balkhati, lehrati,
Behti rahi -------
Behti rahi aur sawarti rahi.
Kabhi oochai se gir kar,
Zarra – zarra bikhar gayi,
Phir khud hi se
Apna aap samet liya .
Jo bifar gayi to
Shaher ke shaher tabah kiye.
Aur jo sawar gayi to,
Kai naslon ko sawaar diya.
Na -jaane kitne bachchon ne
Uski khamosh Satah par
Athkheliya ki thi,
Na –jaane kitni doshizaaon ne,
Usme apna aks nihara tha.
Kabhi to do dilon ki
mohhabbat ki wo zamin bani,
Aur kabhi kisi tanha haseenq
Ke aason khud me samet liye
Na – jaane kitni sadiyon se
Na – jaane kitne janmo se,
Wo behti rahi -------
Behti rahi aur bikharti rahi –
Wo bikhar bikhar kar sawarti rahi ----
Aur ------
Akhir eik din usne
Khud ko hi mita daala.
Apne wajood ki mithas ko
Usne namkeen kar daala.
By Nikhat Nazneen