top of page

Dance With A Queen

Updated: Feb 8

By Bhavya Jain



Theme = A village boy is conveying his love towards queen/princess of the kingdom

and protect her from the evil king , so he meets her in his kingdom, not to get the luxuries but to get and give the support to the queen to protect her.


Blue Lines=Village Boy

Red lines= Queen



Hum yaha aaye the sitare dekhne,

Sitare na dikhe....

Ab yeh kya ho rha humein na kuchh pta ab hum kya kahei,

Oo.. jaane do ab in sitare ko tum yeh na zaruri humare liye,

Jo tum ho humko mile,

Ab zaruri hai tumko batana ki tum kya ho humare liye...

Mai tera yaar tu mera yaar je ab Tera sara dard mera,

To hoja taiyaar , kyunki humko toh ho sakta hai Jaana, waha Jaha chaandi se  zyada ho pyaar Sone se zyada ho aitbaar ,

Aisa swarg gar hoga toh, humko milke hai dhundna Haan dhundna .......



Chalo btaoo , 

Jaane hum kya hua aisa bhala, 

Jo is ahsaas ko tum bole pyaar,

Jaanne ki koshish kaafi toh ki humne ,

Magar jaan paye nhi,

Chalo dikhao,

Kyu iske hone se aate sapne hazaar,

Ek hi insaan ke toh kyun baar baar ,

Ek ki khushio mein dikhti hai khushiya

Hazaar, 

Dukh mein usse zyada hai hum bekarar ,

Meethi aafat yeh kya Hai bhala !!??




Yeh woh ehsaas hai jisme..





Aankho mein ho fanaa dil mein ho raza,

Aaghosh ho aisaa....

Dil mein tarangiya banke ude  hawa mein

Mein jaise aandhiyaan..

Jaane ne na de na humko kahi Jo nazar yeh tumpe padi ,

Hai tumhi pe aake  adi ,

naamumkin laage hai tera aur mera  ab juda hona.......

Mai tera yaarrr tu mera yarrrrr.....


By Bhavya Jain



116 views14 comments

Recent Posts

See All
SIGN UP AND STAY UPDATED!

Thanks for submitting!

  • Grey Twitter Icon
  • Grey LinkedIn Icon
  • Grey Facebook Icon

© 2023 by Hashtag Kalakar

bottom of page