College Ke Wo Purane Din
Updated: Jul 23, 2025
By Khan Firdous
Aaj fir wahan se guzarna hua tha jahan kabhi roz jaya karte the,
Padhai to bas bahana tha, hum to yaadein banaya karte the.
Kona kona koi kissa suna raha hai fir humein,
Kya pata tha ki unse kabhi mulaqat hi nahi hogi jin par jaan lutaya karte the.
Wo sare anjaan chehre na jane kab apne lagne lage,
Apne to hue the lekin fir saare anjaan ho gaye.
Ab to bas baatein reh gayi hai dohrane ko purani,
Zimmedariyon ne khatam kar di wo bachpan ki kahani.
By Khan Firdous

Comments