Choti Si Muskaan
By Shama Afroz
Choti si muskaan karti hai bada kaam,
Rote ko hasati hai, Nirasha me asha jagati hai, Khoon ka doraan tak bardhati hai, ek choti si muskaan karti hai bada kaam.
Choti si muskaan, happy hormones banati hai, life ko ek nayi disha dikhati hai, ek choti si muskaan karti hai bada kaam.
Choti si muskaan barin me neurons bardhati hai, dimaag tez banati hai, creativity jagati hai, ek choti si muskaan karti hai bada kaam.
Choti si muskaan insaan ko kubsurat banati hai, chere par chamak jagati hai, tabyat taza kar jati hai, ek choti si muskaan karti hai bada kaam.
Haste rahiye muskurate rahiye, khud ko hi nahi dusro k chere par bhi muskaan laate rahiye, choti choti khushiyan agey bardhate rahiye, kyun ki ek choti si muskaan karti hai bada kaam.
Choti si muskaan karti hai bada kaam, apne sang auron ko bhi hasate rahiye, baat baat kar k iski ginti baradte rahiye, jitna ho sake duniya khubsurat aur khushiyon se bhari banate rahiye, baat baat isse dungna, teeguna….bardhate rahiye, kyun ki choti si muskaan karti hai bada kaam.
By Shama Afroz

Comments