top of page

Chitthi Pt2

By Fatema Rajkotwala


Haan.. Haan main gayi thi apne kaanpte thande haatho ke sath..

Mere usi yaar, ek tarfa pyaar ki shaadi par.

Stage pe kadam rakhne ke baad

Pata nahi kyu himmat hi nahi juta paa rahi thi aage badhne ki..

Me bas use dekhti hi reh gayi..

Nahi use matlab woh nahi.. uski sangani ko

Aur bohot mushkil ho raha tha aage badhna

Magar.. gayi uske paas.

Gale lagaya.. side hug tha lekin.. theek hai

Aur uske kaano me kaha...

"Mera Channa Mereya reh gaya!"

Woh hass pada aur kaha..

"Tu bhi na yaar.."

Lo! ho gaya mera moment

Magar iske baad kya hua?

Chaliya aage suniye..

Khaana khaya nahi gaya aur waha aur raha bhi nahi gaya..

Toh main waha se nikalte hi

Apni sukoon wali jagah pe pohoch gayi

Sad songs sunte sunte bas roti rahi..

Khali sadak, dim lights, main aur mere aasu

Unhe nyota nahi dena pada..

Bas apne aap hi baras pade

Itne ki aakhein sooj gayi aur sar dard karne laga

Lekin tab na...

Ek dost ne mera sath nahi chora

Usne mujhy akela nahi rehne diya..




Mere sath bas chup betha raha..

Mere peeth pe pyaar se sehlate hue

"It's okay, it's okay" dohrata raha..

Aur me bas roti rahi..

Fir uske kaandhe pe sarr rakh kar bas ek dead space me dekhti rahi

Kuch lamho baad...

Mujhy pata bhi nahi chala..

Aur me hass rahi thi..

Aur ab ye uss yaar ke baare me nahi raha

Kyu ki woh to beeta hua kal hai na?

Aur yeh to aaj ki baat hai.. haina?

Jab yeh dost mere sath betha raha..

Jo mere dukh ko, meri kamzori nahi meri taakat kehta raha..

Ye uss dost ke liye hai jisne apne naye safed rumaal se mere aasu poche

Jispe mera saara makeup lag gaya

Aur woh uss rumaal ko .. 'precious' bolta raha...

Toh ab janaab... Meri zindagi me ab ek dost aaya hai...


By Fatema Rajkotwala




Recent Posts

See All
Warden's Rite

By Jazzanae Warmsley Set in Tiremoore, a parallel 21 st  century realm where magic governs justice and resurrection is never without consequence. Warden’s Rite (Chapter 1) In the twilight-bound city o

 
 
 
Abyssal Light Part 1: Still

By Drishti Dattatreya Rao Nina:   I opened my eyes. Another day. Tiring – I couldn’t even get out of my bed. I rolled over and fell off the bed. Somehow, it broke. Ugh, every day is such a pain. I hav

 
 
 
The Girl At The Well

By Vishakha Choudhary Phooli was unhappy. She had already been to the well twice today. And the first time around, she had to carry an extra bucket of water at top of her two matkas. The second round

 
 
 

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
  • White Instagram Icon
  • White Facebook Icon
  • Youtube

Reach Us

100 Feet Rd, opposite New Horizon Public School, HAL 2nd Stage, Indiranagar, Bengaluru, Karnataka 560008100 Feet Rd, opposite New Horizon Public School, HAL 2nd Stage, Indiranagar, Bengaluru, Karnataka 560008

Say Hello To #Kalakar

© 2021-2025 by Hashtag Kalakar

bottom of page