Chirag
Updated: Jul 16, 2025
By Tanishq Srivastava
Apne vajood ko parshaaiyon me khokar jalta rha
Har ajnabi raah me apne nishaan chorta gya
Theh-raav ki chahat na thi, manzil ki kashish bhi nhi
Bs khamoshi se har dil ko roshan kar guzarta rha
Chirag tha, na kahi uska sarmaya tha na kahi kinara
Pr har aandhi mei bhi vo beparvah jalta rha
Kahin bandh-na uski fitrat me shaamil hi na tha
Roshni baat-ta rha magar khud tanha pighalta rha
By Tanishq Srivastava

Comments