Chand ki Tammanna
By Nikhat Nazneen
Chand ki Tammanna
Aeisi hi haseen shaam thi wo
Poonam ka zard chand
Abhi abhi ufaq par ubhra tha
Aur -------
Maine usse paane ki Tammanna ki thi.
Awwaleen shaam ka wo zardi maayal chand,
Khud se chnd kadam ki dosti pe lagta tha!
Nazren uspar jamaye
Mai safar par nikal padi.
Bus chnd kadam aur --
Phir mai usse paa lungi,
Do – char kadam aur,
Phir mai usse chu lungi !
Mai uski Janib-
Barhti rahi , barhti rahi –
Wo ufaq par aur oocha
Uthta raha, uthta raha .
Lamha – lamha
Uski chandani me izafa hota raha.
Mere pairon ki thakan barhti rahi ----
Wo poori aabotaab ke saath
Ufaq par raushan tha
Uski chandani meri zulfon me utar aayi thi.
Apni la – haasil tammanna ka eitaraf kar –
Mai wapasi safar par nikal padi.
Jab palat kar dekha to—
Abke chand mere peeche- peeche tha !
Tab mujh par ye raaz khula—
Na zameen chand ko chu sakti hai
Na chand zameen par hi utar sakta hai !!!
By Nikhat Nazneen

Comments