CHALTI KA NAAM ZINDAGI
By Shubh Kirti
Mushkil tha magar humne karke ke dikhaaya hai,
Hindustan ko aatmanirbhar hum sabne banaya hai.
Dukh ke aansu ke saath...hasi ki chahak ke saath ye saal 2020 humne beetaaya hai,
Zindagi aur maut ke dono pahlu ko humne apne saamne paaya hai,
Janamdin se lekar farewell sab video call par manaaya hai.
Humne ghar bitha kar prakriti ne khud ko sawara hai,
Hindustan ki hawa aur Ganga ne jaise khud ko nikhaara hai.
Ghar baith kar aalas ne sabhi ko bigaada hai,
Hawa ne toh jaise dhul ki chaadar ko phek utaara hai.
Insaano se lekar panchiyon tak sabhi ko khula aasman pyaara hai,
Humne kiya hai saabit sabse aage Bharat hamara hai.
Rishi Kapoor, Irrfan Khan, Sushant Singh Rajput, Chadwick Boseman, Kobe Bryant jaise sitaaro ko humne hai khoya,
Dange, aatank hamle, bhukamp se har shehar hai roya.
Doctaron aur policewalon ne har waqt apna farz nibhaaya hai,
2020 mein sabhi ne apni kismat ko aazmaaya hai,
Ghar ko hi humne banaya mandir masjid aur gurudwara hai.
Haalat aur haalaat dono mein aa rha hai sudhaar,
Kam ho rhi ginti unki jo hue bimaar.
Kahin takraar toh kahin hua jaan nisaar,
New normal ko humne banaya apna aadhar,
Jeet ke beyadh kareeb hain hum..maanenge naa haar.
Iss saal mehtaab naa hoga akela...rahega saath sitaara,
Sabke taare paltenge jo tha kismat ka maara.
Umeed hai iss saal nayi chamak ke saath hoga sabhi ka guzara,
Ab har wo insaan jeetega jo pichle saal tha haara,
Saal 2021 mein sab milkar dekhenge AATMANIRBHAR BHARAT ka nazara.
By Shubh Kirti

Comments