Beti Maa Saas Man Ki Bat
Updated: Feb 15, 2024
By Kalpana Gupta
Aaya naya zamana , saas ne bahu ko beti maana.
Luta diya us par , pyar aur mamta ka khazana.
Beti ke dil ko padh leti , sasural se jab vo aati.
Bahu aur beti ab ek saaman maa ki aankho me samati.
Aaj bahu aur beti , dono ko , jab kam par jaana hota.
Saas hai ghar par , yeh soch nahi dil unka ab ghabrata.
Sach kahe to ab maa baap ko budhapa nahi satata.
Bacho ke bacho sang , saara din unka hai Kat jaata.
Parivar ki khushi se badhkar nahi , ab koi Khushi
Yahi asli tirat kehlata.
Bacho se paakar maan- samman , ab jivan unka hai tar jata.
By Kalpana Gupta

Comments