- hashtagkalakar
Bebaak Ishq
By Anushree Srivastava
Jab jab dil ne teri khaamiyon par gaur farmaane ki guzarish ki
Humne dil ko nasamajh karaar kar usse mooh mukar diya
Kuch iss qadar bebaak mohabbat karne ki thaani thi tumse
Teri har berehmi ko uthaya sar ankhon par
Aur tujhse mile har dard ki safai pesh kari dil ke kathghare mein
Kuch iss qadar bebaak mohabbat karne ki thaani thi tumse
Kayi baar khushi ke aalam mein tune gham ki baarish ki
Humne khud ko yaad dilaya ki tera saath hi kaafi hai
Muskurakar saare shikwon ko gale lagaya
Aur khud ki cheekh ko zehen mein daba diya
Kuch iss qadar bebaak mohabbat karne ki thaani thi tumse
Jab bhi tune saath chhodne ka zikr kiya
Apne aham ko kinaare rakh humne pyaar ki fariyaad ki
Teri har khamoshi ko apnaya aur apni chahat ko barkraar rakha
Aur khud ki har khwahish ko sirhaane kar diya
Kuch iss qadar bebaak mohabbat karne ki thaani thi tumse
Kuch aise din bhi the jab teri mohabbat sirf aadhi thi
Unn dino apni mohabbat ko do dafa badhaya humne
Tere maathe pe shikan na aaye kabhi
Iss koshish mein apne alfaazon ko chhupaya bhi humne
Kuch iss qadar bebaak mohabbat karne ki thaani thi tumse
Mooh phera jab tune tab jaana yeh
Tujhme itna uljhe the ki khud ka raasta bhool gaye
Aaine mein aaj bhi mulaqat hoti khud se
Par nazrein nakaamiyabi mein doobi tujhe paane ki
Kuch iss qadar bebaak mohabbat karne ki thaani thi tumse
Bedard rooh yeh meri jo tera intezaar kare
Har roz usko yaad dilate hain teri bewafai
Fir bhi jab aankh jhukti hai dua ke liye
Bandh nazron ke saamne lehraati teri parchayeen
Dil karta hai umr kaat duun iss tanhayi mein
Par duniya ke chaal-chalan hain alag
Ab zindagi ne saazish ki aisi ki khud ko pyaar karu
Aur jaan laga duun apni khushi ke liye
Iss dil mein jitna pyaar qaid rakha hai
Kyun na isko apne aap pe barsa duun
Jiss aaine mein dhoondti thi tumhe nazrein
Kyu na khud ko usme dekh fir se muskura duun
Naya daur, naye rang, naye vaade kiye ab
Kuch iss qadar bebaak mohabbat karne ki thaani hai ab khud se
By Anushree Srivastava