Bas Sath Nahi Ho Tum
- Hashtag Kalakar
- Oct 18, 2022
- 2 min read
By Harsh Goyal
Meri har baat mein ho tum,
Meri har raat mein ho tum,
Mere khawaabo mein bhi mere sath mein ho tum,
Mere hoso awaj mein bhi mere sath mein ho tum
Mere har khayal mein ho tum
Mere har sawal mein ho tum
Meri har mannat mein ho tum
Mere sath marne ke baad chahunga Jannat mein ho tum
Meri har kitab mein ho tum
Mere har sher mein ho tum
Lekin jab kholta hoon aankh aur dekhta hu aas pass toh bas
Nahi na mere sath mein ho tum
Mere har jazbaat se khelti woh bas ek awaj mein ho tum
Jiska chahta rehna har pal dil ke pas
Bas woh ek ehsaas ho tum
Ek sajis ho tum
Na hoti waqif ho tum
Mirage ho tum
Jhoot lipat ke aaya ho mano
Woh libaaz ho tum
Jisko karna chahu sach
Woh khwaab ho tum
Naqabile yakeen woh khoobsurat sath ho tum
Mere jazbaat ho tum
Na sirf shabd ho tum
Tumhare bina sifar hai ab hum
Jo hamare dil ke itne pass mein ho tum
Tumhare bina bas bekaar hai ab hum
Jo ab na hamare pass mein ho tum
Mere pyaar karne ka mere likhne ka lehja ho tum
Khuda ka bheja hua kimti tofha ho tum
Jo aati ho hamari juba par musalsal
Woh baat ho tum
Badi nazakat se bhuna hai jisse humne
Woh hamara khwaab ho tum
Ha ek andhvishvaas ho tum
Jo na dusro ko dikhane ko
Hamare sath ho tum
Sham-o-seher karein jiski ibaadat
woh mere sawariya(beloved) ho tum
meri hi banawaat ho tum
heer Ranjha sahib mirza ki tarah jo degi sunayi
woh harsh ki aahat ho tum
ha meri kahani ki aur zindagani ki tarah
banawaat ho tum
bas meri sajawaat ho tum
meri hi likhawat ho tum
meri har baat raat khwaab mein ho tum
bas na sath mein ho tum
bas meri awaj mein ho tum
meri aankh ki uss chamkan mein ho tum
jo tumhara naam lene se aati hai
uss Muskan mein ho tum
mere dil se nikle uss har lahu ke katre mein ho tum
bas na meri kismat mein ho tum
bas meri awaj mein ho tum
lekin na meri kismat mein ho tum
bas awaj mein ho tum…….
By Harsh Goyal

Comments