Badli Nahi Hun Main
By Megha Goyal
badli nahi hu main
bas thoda chupa liya hai maine khud ko
chalti paristhitiyon se
aur badalte waqt main
aaj bhi tere ehsaas
mera dil ko khankhol deta hai
aankho ko bhar deta hai
aur hothon ko sill deta hai
chahti main bhi thi
jo chahta tu tha
par jab jab meri zindagi mein khushi aayi
apne saath agle pal dukho ka bahar layi
chahti thi mere bhi dost bane mujhe bhi koi pyar kare
aur shayad isi chahat mein
kisi ke aane ki aahat se main, main nahi reh pai
kyuki usko khona nahi chahti thi
par shayad meri kismat mujhse kehti kuch aur thi
ki jis jis ko meri zindagi mein layi
to unke sath unke jane ka sandesha bhi laayi
Han ho gayi main khokhli
is darr se ki ab jo aya vo bhi jayega
to kyu na sikhale apne aap ko akela apne sath rehna.
बदली नहीं हूं मैं
बस थोड़ा छुपा लिया है मैंने खुद को
चलती परिस्थितियो से
और बदलते वक्त में
आज भी तेरा एहसास
मेरा दिल को खानखोल देता है
आखो को भर देता है
और होठों को सील देता है
चाहती में भी थी
जो चाहता तू था
पर जब जब मेरी जिंदगी में खुशी आई
अपने साथ अगले पल दुखों का बहार लायी
चाहती थी मेरे भी दोस्त बने मुझे भी कोई प्यार करे
और शायद इसी चाहत में
किसी के आने की आहट से मैं, मैं नहीं रह पाई
क्योंकि उसे खोना नहीं चाहता थी
पर शायद मेरी किस्मत मुझसे कहती कुछ और थी
कि जिस जिस को मेरी जिंदगी में लाइ
तो उनके साथ उनके जाने का संदेश भी लायी
हन हो गई मैं खोकली
इस डर से कि अब जो आया वो भी जाएगा
तो क्यों ना सीखा ले अपने आप को अकेले अपने साथ रहना I
By Megha Goyal

Comments