- hashtagkalakar
Badhai Ho!
By Nasheed Asad
Na jaane kyun aaj dil bohot udaas hai,
Shayad tumhe lagega ye sab bakwaas hai,
Lekin mujhe pata hai ye baatein kitna khaas hai,
Kyunki aaj dil dukha hai, tum yaad aaye ho.
Wo jo khilte the mere aangan me kabhi,
Aaj kisi aur ke ghar me bas chuka hai.
Tere dil me main kya dhundu ab,
Paas jisko samjha wo to door jaa chuka hai.
Kya bhool chuki ho tum wo bachpan ki yaadein,
Jahan log hamein naam se chidhaya karte the.
Kya tumne bhi pyaar chupana seekh liya hai?
Mubarak ho, tumne iss duniya me jeena seekh liya hai.
Yun to main duniya se kehta raha mujhe tumse pyaar nahi,
Par na jaane kyun aaj dil ro raha hai jab tum door jaa rahe ho.
Shayad ye pyaar hi tha jo kabhi samajh nahi paaya,
Ya shayad samajh ke bhi anjaan raha.
Kyunki darta tha main pyaar se, humdardi se, judai se,
Aur dekho na, aaj wahi hua na.
Ab tum jaa hi rahi ho to yaad rakhna,
Tujh bin zindagi tham si jaayegi ye yaad rakhna,
Lekin waada hai tumse, iss duniya me naa sahi qayamat me tum meri hogi.
Jo tu qayamat me bhi naa mil paayi to yaad rakhna,
Main bhi jannat me naa mil paunga ye yaad rakhna.
Shaadi Mubarak, Jaan!
By Nasheed Asad